Monday, 17 December 2012

Gift..... (a short story)



 In English script--
School ki ghanti bajte hi Rahul ghar ki taraf bhaga. Vo aaj subah pahli class ke baad se hi bahut jyada khush tha, aur ho bhi kyo na , pahli bar maths me uske 50 me 50 marks aaye the.  Uski isi khushi ki vajah se aaj class ki sari ladkiyo ko pata chal gaya ki uska aage ka daat tut gaya hai. Halanki ek nanha sa daat us jagah ko bharne ke liye nikal pada tha, par khidki to khidki hoti hai, ab vo aadhi khuli ho ya poori.  Aaj use ghar jane ki itni jaldi thi ki vo school ke gate pr milne wali apni pasandida imli ki khatti mithi goliyaa lena bhi bhool gaya. Use ghar pahuch kar maa aur daadi ko apne naye record ki khabar sunani thi bas.  Rahul ka ghar school ke pas hi tha aur vo 5 minute me ghar pahuch gaya. Uske baal uljhe hue, daudne ki vajah se chehre par pasina tha, thak jane ki vajah se use saans lene me thodi mushkil jarur ho rahi thi par uski muskan me koi kami nhi ayi thi. Uska coat uske haath me tha , tie shirt ki pocket se bahar latak rahi thi, usne roj ki tarah ek haath gate ke andar ghusaya  aur ek chalaak chor ki tarah asani se  gate khol liya. Rahul apne muumy papa aur daadi ke sath ek kiraye ke ghar me rahta tha. Vh ghar chaalis saal purana tha. Us ghar me unke sath hi ek aur kirayedar rahte the. Dono ke pas do do kamre the jinke bich me ek  patli si gallery thi. Un charo kamro ke samne ek chota sa aangan tha, jisme dopahar ke samay thodi dhoop aa jaya karti thi. Rahul jese hi andar ghusa, usne  aangan ke kone me kursiyo pr baithi apni maa Sudha aur dadi ko dekha. Vo  dono sardiyo me khali vaqt me vaha baith kr dhoop sekti thi.  In dono saas bahuvo ka pyaar puri colony ke liye misaal tha.  Sudha ka vyavhar sab k sath hi accha tha, ghar me aane jane wale mehmano se lekr , naukar chakar tak sab hi Sudha ke polite nature se impressed the.  Chahe dudh wale bhaiya ho, ya sabji wale, ya fir jamadar sabhi ko Sudha ne apna bhai bana rakha tha. Aisi padhi likhi sabhya shushil, khule vicharo wali mahila is jamane me durlabh hi thi.
Khair apni maa aur dadi ko dekh kr Rahul jor se chillaya-“Mummy I got 50 out of 50 in Maths”, aur teji se unki god me ja chhupne ke liye dauda. Jaldbaji me usne bich me rakhi hui thaali pr dhyan nhi diya aur jor se thokar mar di. Thaali me rakhi hui pital ki katori uchal kar samne ki deewar se ja ladi aur khan khan ki awaj karte hue, aangan ke duri or bani naali me pahuch gayi.  Us naali me dono bathrooms ka pani jata tha. Katori ko nali me jata dekh, Rahul bich me hi ruk gaya. Shyad use aage hone wali chijo ka andaja ho gaya tha. Sudha ne Rahul ko naali se katori uthane ka ishara kiya. Agar aur koi din hota to shayad is laparvahi ke liye pitai bhi ho jati, par aaj Rahul itne acche marks laya tha isiliye shayd Sudha ne kuch kaha nahi. Rahul chup chap apne kamre me gaya aur apna bag aur coat rakh kea a gaya. Usne katori uthayi aur sabun se dhoya. Fir Sudha ne us katori ko deewar ke upar alag rakh diya. Rahul ko sardiyo me fir se nahan pad gaya. 
Do din bit gaye, vo katori vahi diwar par rakhi rahi. Fir us din colony me safai karne wala jamadar Kamal paise lene ke liye aaya. Kamal bhi Sudha ko didi hi kehta tha. Sudha ne kamal ko mahine ke 100 rupaye aur kuch bachi hui mithai de di. Kamal paise lekar muda hi tha ki Sudha ko kuch yad aa gaya. Usne kamal ko roka aur kaha- “Are kamal maine tumhe tumhara gift to diya hi nhi. Sudha ne deewar pe rakhi katori uthai aur Kamal ko de di. Peetal ki badi si katori ko haatho me dekh kr Kamal ki aankho me chamak aa gayi, pr agle hi pal vah kuch soch ke chauk sa gaya.  Usne badi vinamrata se Sudha se kaha – “Didi ye katori naali me gir gayi thin na, tabhi aap mujhe de rahi ho…Khair ab mai isme kheer to khaunga hi aapne itne pyar se jo ye gift diya hai…”. Itna kah kr Kamal namaste kr chal diya. Sudha Kamal ke shabdo ki chot se stabdh si rah gayi.