A composition on "Human Rights Day"...
![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiSs-XY2R3hb10qGLAp63mNXgUQaUCzBCyCjiGp3uvPUYpzpIERKUh3e_IZDeHu5PYl_Dt17gII8U8XRLKvFjRjWu4629XklcfzQ1Hnifi0aeUeezMX9xmiiSihJA3E8Gz7u7R8FvkKGD4/s1600/son+mother.JPG)
pet me lagi jo bhukh aankh se jhalak rhi
dhudh kaise mangu dekh maa bhi hai tadap rahi
chaar roj gujre tan daane ko taras raha
aur tere ghar me kaisa swaad hai baras raha
na subah ki chay na sham ka tandoor
pure din me roti ek bar mangta hu mai
jo diya khuda ne par chiin tumne liya
pet bharne ka adhikar mangta hu mai..
baap ne karaj liya,kaam mai hu kar raha
vo to mar chuka hai,pr aaj mai hu mar raha
kheti-bari chhod mal-mut tak utha liya
apne swabhiman ko nam aankho me gira liya...
na mantri ki kursi na hi afsari ki naukri
sar uthane layak rojgaar mangta hu mai
jo diya khuda ne par chhin tumne liya
Kam karne ka adhikar mangta hu mai...
anguthachaap tha jo mai,gharbar sara chin gya
sau rupaye ke note ko,mai das hazar gin gya
atyachar shoshan hai, pr mai lad nahi sakta
niyam kanoon sab to hai, mai padh nahi sakta
na takneeki gyan na hi ved na hi shastra
bs kale aksharon ka adhar mangta hu mai
jo diya khuda ne par chiin tumne liya
padhne likhne ka adhikar mangta hu mai...
kisi ka sar kata to kisi ke tan ko hi kuchal diya
jo bach gye un sab ka dharm hi badal diya
manjil to ek hi hai, bs raaste alag hai
kyu fir ek dharm sahi aur dusre galat hai...
na mandir na masjid na church na gurudwar
apne dil ka tukda hi udhar mangta hu mai
jo diya khuda ne par chiin tumne liya
moksh pane ka adhikar mangta hu mai...
mai jo gya mandir mujhe nich kah bhaga diya
kam manga to pakhane ki safai pr laga diya
meri parchhai ko bhi chhut mante hai sab
insaan hu par zinda bhoot mante hai sab...
na ijjat na shohrat na rutba na dolat
saanse chal sake bs utna pyar mangta hu mai
jo diya khuda ne par chhin tumne liya
zinda rahne ka adhikar mangta hu mai...

No comments:
Post a Comment